A Letter to Rajveer Singh
Pata nahi Aaj Tak main use samajh hi nahi paya ki wo mujhse pyar karti thi ya nahi
Ya sirf mere paiso ke liye mere kareeb aayi thi. Gusse me ek ladki kitna bol sakti hai ye bhi nahi samajh paya use chahiye kya tha ye bhi nahi samjh paya. Use apna carrier banana tha, use azadi chahiye thi koi rok tok nahi chahiye tha. Usne bataya ki uska kapda 5k se kam ka nahi hota hai. use pampering chahiye thi use body maintain karni thi. Dosro ke paise dekh ke mujhe taunt maarti thi. Pata nahi kya chalta tha uske dimag me. Maine use sab kuchh bata rakha tha apne baare me, maine usse kaha bhi tha ki mera sath chhod de hum dono ke beech bahut fark hai lekin haar haal me sath rehna chahti thi. Maine bataya ki main jyada nahi kamata hoon meri jyada salary nahi hai usne kaha ki dono mil ke ghar chala lenge.
Lekin jaha use mujhe samajhna chahiye tha usne mujhe galat samajhna shuru kar diya.
Main apne pariwar aur ghar ki pareshaniyon se uljha hua tha main bilkul akela ho gaya tha jaha tak ho sakta tha maine apne aur uske dono ke rishte ko sambhalne ki koshish ki lekin main nahi sambhal paya.
Rajveer ek tu hi hai jo mujhe samajhta hai aur mere halato ko achchhe se janta hai maine tere alawa aur kisse apni baat share karu. main tere baghair kuchh bhi nahi hoon. yaar ajeeb si uljhan hai, ajeeb si bechaini hai ki kya karu aur kya ho raha hai maine nahi jaanta ki kaise sab badal gaya.
Tera Dost
Shadab Khan
Comments
Post a Comment