TRUE FRIENDS PART - 2

 TRUE FRIEND : (PART = 2)


    Meri sab rahe hai tu

    Jo bhi chahe mai chunu,

                mere sang- sang bas chale tu

                jo bhi sapne me bunu.......


Ye saari kahani sahi hai

03 March 2020:

                             Aaj Rajveer ka exam hai M.A 1st yr (sociology) jo ki uske liye kaafi important hai wo apni saari study ko bhool kar SANA ke baare me bas soch raha hai ki tabhi group me call aata hai aur wo group me call pe baat karne lagta hai. par baat karne ko sab frnds hai lekin wo nahi hai jiska intezaar hai ....

Tabhi Sana ka call join hota hai usne to mano jaise bina exam ke hi top kar liya.....


            Baatein bhi ho rahi hai kaafi saari and "Time is running fast" ab uske college jane ka time ho gaya hai lekin wo naye frnd ke sath itna khush hai ki exam ka koi tention hi nahi hai. ab sirf 45 minuts hi bache hai peper ko start hone me, Aur ab SANA ko apne naye fb frnd ki fikr ho rahi hai..

Sana: yaar dekh ab tera exam start hone ko hai aur tujhe koi tention hi nahi hai.

RAJVEER: ha pata hai lekin tumse 2 minut baat to kar lu shayad tum baat na karo.


SANA : yaar mai baat karungi hum sab baat karenge lekin pehle tu jaa exam de, aur ha............... "BEST OF LUCK".

    Rajveer apne college ko pahunch gaya use exam ki koi tention hi nahi hai. wo bahut khush hai because use aaj tak kisi ne BEST OF LUCK nahi kaha tha aur usuke kano me bas yahi baat goonj rahi hai.......


            Exam paper mil gaya sab theek hai.raat me jo jaag kar padhai ki wahi Questions aaye hai, par ye kya Answer to Sana se baat karne ke chakkar me bhool gaya ab kya hoga? wos baitha hai kya kare- kya kare tabhi uske kaano me ek Awaz aati hai Y"Main Hoo Na tu likh" ab to bhai Rajveer itna tez likh rahe hai ki Bagal wala ladka bolta hai:

lagta hai ki Mahadev ki aatma ghus gai h.........

sab achha hai aur wo exam de kar aa gaya ab use Sana se baat karni hai lekin kaise? uska to number hi nahi hai... 

            

               Ghar pe raj aa gaya aur Sana se baat bhi hui tab jakar use sukoon mila.. 

sab theek hai ab raat me fb wale group me Antakshari ho rahi hai. sab mauj masti kar rahe hai ab subah ke 2 baj chuke hai sab bye bol kar so gaye.lekin rajveer ke uski shayari baar baar yaad aa rahi h. Wo shayari Sana ki jo usne group me sabako sunai h..."Wo sukoon nahi duniya ke kisi kone me Jo sukoon hai tujh baat kar ke Sone me"....


        Jaise Raj ka ye kaam hi ho gaya hai usse baat karne ka. wo bahut khush hai naya frnd paa ke wo bhi ek ladki; lekin ek baat se pareshan hai ki aaj use itni khushi q h isse pehle bhi to wo exam de chuka hai aur uske paas uske best Games hai Internet hai sab hai shayad ye khushi use naye dost milne ki hai,,,,,,,

          Kuchh din beet gaye fb pe hi baat ho rahi hai lekin jaha Raj ka ghar hai waha to Network hi nahi rehta hai. ab raj ne faisla kiya ki kisi tarah Sana ka no. liya jaye uske ek fb frnd se sana ka number bhi mil gaya lekin sana har kisi se phone pe baat nahi karti hai. Sana jab bhi Sana bhi kisi se baat karti hansi khushi ke sath, lekin sana ki hansi ke peechhe ek khamoshi aur ek Darr raj so saaf saaf dikhayi de raha tha .. lekin wo sana se pooch bhi nahi sakta tha aur raj is baat se pareshan tha .. raj ki duniya Game aur internet se hat ke Sana ke sath jud chuki thi.................

                Sana ko lag raha tha ki raj ko kahi usse pyar na ho jaye agar aisa hua to uski taqleef raaj ko pareshan kar jayegi . lekin use kaha pata tha ki wo pehle se hi uski taqleef ke sath jud chuka h...


                Kisi tarah Raj ne sana ko manaya apne bare me batayab aur ye yaqeen dilaya ki wo usse pyar nahi karta hai. usne sana ko ye bhi samjhaya ki Kuchh ladkiyom ki dosti pyar se badh ke hoti hai, aur wo bina dare apne beete hue kal ko mere sath share kar sakti hai..


                                                                                          to be Continue...........

                                                                                           Auther : 

                                                                                               Shadab khan

                                                                

Comments

Popular Posts